Singer: Asha Bhosle
Lyrics: Anand Bakshi
Shukriya karam meharbani
Doston zindagi haseen hai
Lekin sirf unke liye jinhone pyar kiya hai
Kyon ki sirf pyar karne wale jaante hain ki
Aan baan aur shaan se jeena kise kehte hain
Hai na
Pyar karne wale pyar karte hain shaan se
Pyar karne wale pyar karte hain shaan se
Jeete hain shaan se, marte hain shaan se
Pyar karne wale pyar karte hain shaan se
Jeete hain shaan se, marte hain shaan se
Ho lete hain kisi ka jo naam
Unko hazaron salam
Kabhi rukte nahin
Kahin jhukte nahin
Chaahe jo bhi ho anjaa
Ho lete hain kisi ka jo naam
Unko hazaron salam
Kabhi rukte nahin
Kahin jhukte nahin
Chaahe jo bhi ho anjaam
Yaar ki gali se guzarte hain shaan se
Jeete hain shaan se, marte hain shaan se..
Pyar karne wale pyar karte hain shaan se
Jeete hain shaan se, marte hain shaan se.. ae..
Rasta nahin aasan
Dena padta hai imtehan
Yeh hai dil ki lagi
Yeh nahin dillagi
Aate hain kai toofan
Ho rasta nahin aasan
Dena padta hai imtehan
Yeh hai dil ki lagi
Yeh nahin dillagi
Aate hain kai toofan
Woh doob ke phir
Ubharte hain shaan se
Jeete hain shaan se, marte hain shaan se..
Ho pyar karne wale pyar karte hain shaan se
Jeete hain shaan se, marte hain shaan se