Kitna Aasan Hai Kehna Bhul Jao Video Song & Lyrics | Dostana Movie


Singer: Lata Mangeshkar
Lyrics: Anand Bakshi

kitna aasan hai kehna bhul jao, bhul jao
kitna mushkil hai par bhul jana
kitna aasan hai kehna bhul jao, kitna mushkil hai par bhul jana
ho na jana na jana
kitna aasan hai kehna bhul jao, kitna mushkil hai par bhul jana


bin soche bin samjhe log, manjhi to ban jate hai
unko yeh malum nahi, ke tufan bhi aate hain
kitna aasan hai manjhi ban jana, kitna mushkil hai par lagana
kitna aasan hai kehna bhul jao, kitna mushkil hai par bhul jana

ha tumko hai dard bada, isi duniya ki rasmo ka
ulfat me jo khayi thi, kya hoga uss kasmo ka
kitna aasan hai vade tod dena, kitna mushkil hai vade nibhana
kitna aasan hai kehna bhul jao, kitna mushkil hai par bhul jana
ho na jana na jana
kitna aasan hai kehna bhul jao, bhul jao, bhul jao

Nitin Gupta

This is my blog for sharing my travel experiences with friends.

Post a Comment

Previous Post Next Post