Main Shayar To Nahin Song Video - Lyrics | Bobby Movie



Singer(s): Shailendra Singh
Lyricist(s): Anand Bakshi

 (Main shaayar to nahin - 2 magar aye hanseen
 Jab se dekha main ne tujh ko mujh ko
 Shaayari aa gayee) - 2
 Mainn aashiq to nahin magar aye haseen
 Jab se dekhaa main ne tujh ko mujh ko
 Aashiqi aa gayee
 Main shaayar to nahin

 (Pyaar ka naam main ne soona tha magar
 Pyaar kya hai ye mujh ko nahin thi khabar) - 2
 Main to ulajha raha ulajhanon ki tarah
 Doston main raha dushmanon ki tarah
 Main dushman to nahin - 2 magar aye haseen
 Jab se dekhaa main ne tujh ko mujh ko
 Dosti aa gayee
 Main shaayar to nahin

 (Sochata hoo agar main dua maangata
 Haath apane uthaakar main kya maangata) - 2
 Jab se tujh se mohabbat main karane laga
 Tab se aise ibaadat main karane laga
 Main qaafir to nahin - 2 magar aye haseen
 Jab se dekha main ne tujh ko mujh ko
 Bandagi aa gayee
 Main shaayar to nahin - 2 magar aye hanseen
 Jab se dekha main ne tujh ko mujh ko
 Shaayari aa gayee
 Main shaayar to nahin




Nitin Gupta

This is my blog for sharing my travel experiences with friends.

Post a Comment

Previous Post Next Post