Singer(s): Kumar Sanu
Lyricist(s):Anand Bakshi
Gupchup gupchup chup chup oo - (4)
Do dill mile rahe hain, magar chupke chupke - (2)
Sabko ho rahee hai, han sabko ho rahee hai
Khabar chupke chupke
Do dil mile rahe hain, magar chupke chupke
Saanson me badee bekaraaree, aankhon me kayee raat jage
Kahee kabhee lag jaaye dil toh, kahee phir dil naa lage
Apane dil me jara thaam lu, jaadu kaa mai ise naam du
Jaadu kar raha, jaadu kar raha hai asar chupke chupke
Do dil mile rahe hain, magar chupke chupke
Aise bhole bankar hai baithe, jaise koyee baat nahee
Sab kuchh najar aa raha hai, din hai yeh raat nahee
Kya hai kuchh bhee nahee hai agar, honthon pe hai khamoshee magar
Baaten kar rahee hain -2 ajar chupke chupke
Do dil mile rahe hain, magar chupke chupke
Kahee aag lagane se pehle, uthata hai aisa dhua
Jaisa hai idhar kaa najaara, vaisa hee udhar kaa sama
Dil me kaisee kasak see jagee, dono jaanib barabar lagee
Dekho toh idhar se -2 udhar chupke chupke
Do dil mile rahe hain, magar chupke chupke
Sabko ho rahee hai, han sabko ho rahee hai
Khabar chupke chupke
Do dil mile rahe hain, magar chupke chupke
Gupchup gupchup chup chup oo - (2)
Magar chupke chupke
Gupchup gupchup chup chup oo - (2)
Magar chupke chupke, ha han chupke chupke