Judaa Lyrics Songs (Ishqedarriyaan Movie)

( Singer: Arijit Singh, Lyrics: Kumaar)


Aansuon ne nazar mein jagah banayi
Zindagi ka hissa bani tanhaai
Aansuon ne nazar mein jagah banayi
Zindagi ka hissa bani tanhaai
Poori hoke bhi poori na ho saki duaa

Tujhse judaa judaa huaa main judaa hua
Mujhse khafa khafa yahan mera Khuda hua (x3)

Kareeb se guzar gaya
Kyun mujhko tanha kar gaya
Kareeb se guzar gaya
Kyun mujhko tanha kar gaya
Khaali khaali dil mein ek dard aisa bhar gaya
Jiski kehte hain duniya mein koi nahi dawaa..

Tujhse juda juda huaa, main juda huaa
Mujhse khafa khafa yahan mera Khuda hua (x3)

Bewajah safar mein tha
Pal do pal nazar mein tha
Bewajah safar mein tha
Pal do pal nazar mein tha
Khamakha bhatak gaya
Accha bhala dil ghar mein tha
Kaise bin tere hogi ye zindagi bataa

Tujhse juda juda huaa, main juda huaa
Mujhse khafa khafa yahan mera Khuda hua (x3)

Nitin Gupta

This is my blog for sharing my travel experiences with friends.

Post a Comment

Previous Post Next Post